Private job karne vale logo ko mind rakhane vali important 9 bate?
Agar aap private me job karte hai to aap se jane anjane kuchh mistake ho jati hogi. jiske karn ap ko pachhtana padata hai. yadi aap ko un sabhi bato ki jankari pahale se rahegi aap bach sakte hai un sabhi galtio se. private job karne vale logo ko mind me rakhane vali 9 important bato ke bare me batane ja rha hu. Private job kanrne vale logo ko 9 bato ko gath band kar rakh lena chahiye. Kuchh bate aise hoti hai jo aap ko pahale se pata honi chahiye. Yadi aap un bato ko nhi jante hai ya yah kah sakte hai ki un sabhi bato ki aap ko janakri nhi hai.to aap jane anane me galti kar baithte hai. jinke karn aap ko bad me pastana padtha hai. To chaliye ham log jante hai.un 9 bato ke bare me bistar se.
1.Bena appointment letter ke job join kar lene
Yadi aap kahi bhi private job join karne jate hai. to aap ko company ke taraf se aap ko appointment letter diya jata hai. jisme aapko kish work ke liye rakha gya hai? aap ki monthly salary kitani rahegi? Job left karte time kitne day ka notice dena hoga? Aap ki seeva sart kya hai, etc sabhi bate likhi hoti hai. yadi aap ko company ne appointment letter nhi diya hai to aise me aap ko mang karni chaiye. Yadi aap without appointment letter ke job karne jayenge to ho sakta hai ki aap se one ya two month work karva kar owner kah sakte hai ki aap hamre yha job hi nhi kiya hai. aisi sachuvesan me aap ko salary lene me kafi problem ka samna karna pad sakta hai.
2.Job join karte time original certificate owner ko de dena.
Today time jab bhi any private job ke liye apply karte hai. aise me different different pad ke liye educational ability ki demand ki jati hai. eske bad aap joining ke liye aapko original certificate documents verification ke liye lane ko kaha jata hai. aap ne jobhi educational ability certificate ka photo copy diya hai uska Milan karne ke liye, Milan karne ke bad aap ka original certificate turant return kar diya jata hai. yadi aise me aap ne job join karte time original certificate owner ke pas jama kar diye hai to aap ko return karne me inattention (anakani) kar sakte hai.
3.Owner ke kahane par white paper par signature kar ke de dena.
Nowadays (aajkal) private job join karte time company ke owner white paper pe signature karne ko kahane lagte hai. aur log berogari ke dar se job pane ki lalach me illegal (gairkanoni) mang ko manlete hai and bad me unse white paper ka signature ka dar dikha kar exploitation (shosan) karte hai. to aap aise dhokha dhadi se bache job pane ke liye aap aisa koi work na kare jisase aap ko bad me pachhtana pade.
4.Yadi 30 day complete hone par salary na mile to written me mang na karna.
Aap kahi bhi job karte hai . aapko 30 day complete hone par salary mil jani chahiye. Aisa nhi ho pa rha hai to jada se jada 7 se 10 date tak mil jani chahiye. Aise me aap ke owner salary time pey na de to aap written me unse mang sakte hai aap chaye to owner ko email, whats app, sped post ka use kar skate hai. aise aap ke pas proof rahega ki aap ki salary owner ke pas baki hai. yadi aap aisa nhi karte hai ya written me nhi mangte hai to ho sakta hai company ke owner mukar sakte hai dene se.
5.Apane work se releted record sambhal kar na rakhana.
Jab aap padane ke douran apane mark seet certificate etc ko sambhal kar rakhate hai. usi type se aap ko apane job se releted kagjat, experience letter warning latter, turmination latter, salary slip etc sabhi ek file banakar aap ko rakhana chahiye ho sakta hai ki ek na ek din kam aaye.
6.Apani salary bank ke account me na lena.
Aap apani salary account me lete hai . aise aap ke pas appointment letter nhi bhi hai to bhi aap ko prove karane me aasani hota hai. ki aap ne es company me job kiya hai. aise aap ko try karna hai apani salary har baar account ke madhyam se le.
7.Chhutti lete time written proof na rakhana.
Yadi aap kabhi bhi job se chhutti lete hai. aise me aap ke liye aavedan dene ka rule hota hai.yadi aap moukhik chhutti lete hai. to aap savdhan ho jaye. aise me jab aap return aate hai to aap pata chalata hai ki aap ki jagah pe kishi aur ko hire kar liya gya hai. aise hone par aap cort bhi ja sakte hai. yadi aap pahale savdhani bartate to aap ko sayad yah din nhi dekhane ko milate.to aap hamesha chutti lete time application ya email ke madhyam se aadat banale chhutti lene ki.
8.Owner pe aakh band kar ke believe karna.
Adhik se adhik dekha gya hai jo log kam read and written hote vaise logo ko shoshan ka samana karna padta hai. jab aise log dur kishi city me job karne jate hai owner log har month khurak (khane pine ke kharck) ke name pe same many de dete hai and bache hua many yah kah kar kar apane pas rakh lete hai ki yuh many kaha rakhoge yuh mere pas rahane do jab tum home jana to ham tumhe de denge. Aise me shidhe shadhe employees unki jhase me aa jate hai. aur jab employee ka many adhik ho jata hai unko nhi dete hai. to aise me aap kabhi dhokha mat khana aap ko yah karna hai ki jab aap work complete kar le to aap monthly salary le liya kare.
9.Apane hak aur adhikar ki information na hona.
Yadi aap private job karne ja rhe hai kishi bhi sthan (place) pe aap ko government ke taraf se banaye gye kanoon ki information le leni chaiye. Aisa karne se aap ka soshan nhi hoga yadi aap ko information rahegi aise bahot se jagah hai jaha employee ka soshan hota hai shop, hotels, restaurant movie theatre company, factory, nongovernment department ke liye palan karna hota hai. es blog ke madhyam se ham un sabhi employee ko jagrup karna chahate ki in sabhi bato ka dhyan me rkhe aur apana soshan hone se roke.