Html developer kya hota hai ?
HTML (HyperText Markup Language) ek markup language hai jiska istemal website ke pages ko create karne ke liye kiya jata hai. HTML mein text, images, aur links ko arrange
karke ek webpage banaya jata hai. HTML developer ek aisa professional hota hai jo
HTML language ko use karke websites ke pages ko design aur create karta hai. HTML
developers apne clients ke needs ke according website ke pages ko design karte hain
aur unhe present karte hain. Uske baad usko feedback ke according changes karke final
version taiyar karte hain. HTML developers HTML, CSS, aur JavaScript jaise languages
ka gyan rakhte hain taaki unki websites functional aur visually appealing ho sake.Top 10 HTML development tools for HTML developers in 2023
2023 mein HTML developer ke liye top 10 tools ye hain:
1. Visual Studio Code.
2. Adobe Dreamweaver
3. Sublime Text
4. Notepad++
5. Atom
6. Brackets
7. Bluefish.
8. Aptana Studio
9. Eclipse
10. NetBeans
In tools mein se aap apne preference aur requirement ke according to koi bhi use kar sakte
hai. Ye sabhi tools HTML developer ke liye acchi options hain. Aap in tools ke features
aur functionality ko compare kar ke apna favorite tool select kar sakte hain.
Html developer koun si company me apply Kar sakte hai?
HTML sikhne ke bad aap kai Tarah ke company me apna career start kar sakte hai aap web development, a software company, IT consulting e-commerce company startups aur government organizations me apply Kar sakte hai. Iske alawa aap apne HTML skills ka use karke freelancing bhi kar sakte hai aur apne client ke liye website aur web applications develop Kar sakte hai freelancing aapko apne passion ke according to work karne ke flexibility deti hai
Examples of top 10 companies where you can apply as an HTML developer
1. Edubird
3. Tata consultancy service (TCS)
4. Infosys
5. Wipro
7. IBM
8. Accenture
9. Cognizant
Ye Sirf Kuch examples hai aap apne skill aur location ke according to dusre bhi company me apply kar sakte hai!
Html developer ki salary kitni hoti hai?
HTML developer ki salary ke baare mein general guideline nahi hai. Salary HTML developer ke skills aur experience ke according to vary karti hai. HTML developers ki salary 15,000 se 25,000 INR per month hoti hai jabki experienced HTML developers ki salary 25,000 Se 50,000 INR per month Hoti hai Iske alawa HTML developer ki salary company our location ke according to bhi vary Kar Sakti hai For example, ek HTML developer Mumbai Me 50,000 INR Se 70,000 INR per month Tak ka salary expect Kar Sakta hai, Jabki Ek HTML developer Varanasi Me 30,000 INR Se 50,000 INR per month Tak ka salary expect Kar Sakta hai
HTML developer ki career kya hai ?
HTML developer ek web developer Hota hai jiska Kaam HTML (HyperText Markup Language) code ko design aur layout ke according to use Karna Hota hai. HTML developer website Ke pages ko create Or maintain Karte Hain. HTML developer apne HTML skills ke sath sath other programming languages Jaise ki CSS (Cascading Style Sheets) or JavaScript bhi use Karte hai. HTML developer website Ke content ko organize format or structure Karte Hain. HTML developer website Ke pages ko responsive or user-friendly banate hai Taki Wo mobile or desktop devices Me Sahi Tarah see display ho sake. HTML developer website Ke pages ko test, debug, Aur update Bhi Karte Hain. HTML developer Ek creative aur technical field mein kaam karte hain Jaha the design aur development skills dono ki jarurat hoti hai. HTML developer Ek Achha career option hai agar Aao web development Me interest Rakhte Hai.